--FEMALE--
Aah, aah, aah, aah aah
Aah aah, aah
(Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai) - 2
Aye dil, koi pehchaana nahin
Kisi ne yeh maana nahin
Kisi ne yeh jaana nahin
Kisi ko bataana nahin
Dard chhupa hai kahan
Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai
--MALE--
O, hey, eh
Tune mujhse vafaa nahin ki
Tujhko kaise vafaa milegi
Tune mujhko dard diya hai
Tujhko kaise davaa milegi
--FEMALE--
Seene mein uthte hai armaan aise
Dariya mein aate hai toofan jaise
Kabhi kabhi khud hi maajhi
Kashti ko dubota hai
Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai
--MALE--
Kaante chunkar tera daaman
Phoolon se main bhar jaaoonga
Isse badi sazaa kya hogi
Maaf tujhe main kar jaaoonga
Aa, eh aah
--FEMALE--
Hogi kisi ko pehchaan kaise
Pyaar mein hote hain purbaan kaise
Humko yeh maaloom na tha
Pyaar bhi ek samjhauta hai
Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai
Aye dil, koi pehchaana nahin
Kisi ne yeh maana nahin
Kisi ne yeh jaana nahin
Kisi ko bataana nahin
Dard chhupa hai kahan
--MALE--
(Aye dil, dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Baahar koi hansta hai
Andar koi rota hai) - 2
[not written by me]
No comments:
Post a Comment