bahut dino baad usse baat hue
guftagu bhi lagi khamoshi ki tarah...
rim-jhim boondon ka aasman mein shumaar tha
aansoo gir rahe the aankhon se baarish ki tarah
bahut dino baad usse baat hue...
***
ruksati ki baat jab hui dil bhar gaya
armaano ka jo mehal tha pal bhar mein deh gaya...
shaam bhi veeran si ho gai
dard tha jo fiza mein bikhar gaya
bahut dino baad usse baat hue...
~*~
apne dil-e-armaan ko saar-e-duniya mein baich kar
main khush hu usse khush dekh kar...
[written by romil arora - copyright reserved]
No comments:
Post a Comment