Wednesday, September 9, 2009

kahin durr chala gaya...

saaju-sawaru
naaz-o-nakhare uthau main kiske liye
jo shakhs tha dil ke karib
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
~*~
din ka haal sunau to kisse sunau
bahut din hue kisi se do baatein kiye hue
jo shakhs tha baatein karne ke liye
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
~*~
ab to shaam bhi be-rang se aati hain chat par
milu-to milu kisse milu
jo shakhs tha milane ke liye
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
~*~
meri raatein bhi chandani ka saath chod chuki hain
aandheron main is tarah khoyi hu main
jo shakhs tha roshani mere liye
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: