Saturday, September 26, 2009

ab khawahish, kaun kare...

is duniya mein itna gum mila
us duniya se umeed kya kare
aakhir allah to wahi hai
ab khawahish, kaun kare...
~*~
apno ne jab dhoka diya
gairon se tamannaah kya kare
aakhir insaan to wahi hai
ab wafa, kaun kare...
~*~
dubi hain kasti apni saahil par
sagar se shikayat kya kare
aakhir sahara kisi ka na mila
ab tamaasha, kaun kare...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: