pagal ladke rooth na jaana
apne dil ki har baat batana
aankhon main na aansoo lana
hoonton par muskaan khilana
paagal ladke rooth na jaana...
jab tere hoonton par muskaan
chandani ban kar aati hain
aankhon main pyari-pyari se roshani
jab jagmagati hain
dil main khil jate hain
lakhoon armaan
paagal ladke rooth na jaana...
zindagi ke phool
apne daaman main sameth lo
apne zakhamo se kabhi mat ghabrana
pagal ladke rooth na jaana...
maana ki duniya main
qadam-qadam par hain buraiyaan
magar tum satya ka saath hamesha dena
kabhi na apne farz se dagmagana
pagal ladke rooth na jaana...
apne dil ki har baat batana
aankhon main na aansoo lana
hoonton par muskaan khilana
[written by romil arora - copyright reserved]
No comments:
Post a Comment