Monday, November 9, 2009

ab tumhare bin jiya nahi jaata...


yeh judai ka dard ab saaha nahi jaata.
kab tak rahu main yaadon ke sahare
ab tanhaiyoon ke mehal main raha nahi jaata.
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bina jiya nahi jaata...
***
le chalo mujhe tum apne saath
tumhare bin yeh jeevan guzara nahi jaata
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bin jiya nahi jaata...
***
khud se karta rahu main kab tak teri baatein
yunh paagalon sa jeevan jiya nahi jaata
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bin jiya nahi jaata...
***
kya karna aaisa jeevan
jisme tu nahi...
tera saath nahi...
keval saanson ke sahare se jeevan jiya nahi jaata
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bin jiya nahi jaata...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: