Monday, November 9, 2009

mann karta hain...

jinka koiye nahi hota apna
unke liye apna ghar banane ka
mann karta hain...
~*~
chand ki baadi raat ko
yateemo ko
bebaso ko
khana khilaane ka
mann karta hain...
~*~
jab aati hain diwali
har sooni galiyoon main
deepak jalane ko
mann karta hain...
~*~
tanhai jab hadh se badh jaati hain
khud ki parchaiye bhi darati hain
tab dost ki yaad main aansoo bahane ko
mann karta hain...
mann karta hain...
mann karta hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: