Tuesday, November 24, 2009

Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin...

Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin - 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin - 2
***
Tu mil saka na humko, tasalli to mil gayi - 2
Aayi bahaar shaakh pe kali bhi khil gayi
Armaan tha humko jiska woh gul khila nahin - 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin - 2
***
Yaadon ki jhilmil aati parchhaiyon ke din - 2
Kat te nahin hai tanha tanhaaiyon ke din
Hai chaahaton ka dilkash, ab silsila nahin - 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin - 2
Naseeb mein nahin tha jo humko mila nahin - 2
[NOT WRITTEN BY ME]

No comments: