Friday, December 18, 2009

aaise bichade woh ki...

aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
jinse kabhi hoti thi
apni sehar
woh raaton ke saathi reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
tinka-tinka toote hain gulab ki pankhudhi ki tarah
unke pehlu main na sahi
unke qadamo main marr kar reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
mujhse na pucho meri deewangi ki inteha
unse waafa na mili
to unki bewafai ke qaayal reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
koiye puche jab humse aansooyoon ki wajah
keh na paye unse kuch
bas muskurakar reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye..
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: