{chahe jitne bhi sitam kar le tu teri rehmat samjhunga
tu chahe mujhse bewafai kare main fhir bhi waafa karunga}
***
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain
Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain...
***
Yeh aansoo nahi mere lafz hain
Jisse maine sitaraon ki tarah aankhon main baasa rakha hain.
Tu mujhe yaad kare ya na kare mere khuda
Maine to yaadon main sirf tujhko hi baasa rakha hain.
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Aaina toota hain to kya
Haath ghayal hua hain to kya
dil main lahoo beh raha hain to kya
Maine fhir bhi hoonton par muskaan ko saaja rakha hain.
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Tu chahe rahe dusaroon ki baahon main
Khoye rahe shaan-o-shauqat ki raahon main
Maine to tujhe dil ke darbaar main saaja rakha hain
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Main rahu ya na rahu
Saansein rahe ya na rahe
Maine to tujhe rooh main baasa rakha hain
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain
Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain...
[written by romil arora - copyright reserved]
No comments:
Post a Comment