~GHAZAL~
Humko kiske gham ne mara ye kahani phir sahi...
{{udhar zulfoon main kanjhi ho rahe hain, khum nikalta hain
idhar rukh-rukh ke kheech-kheech kar hamara dum nikalta hain,
elaahe khair ho, uljhan par uljhan badati jaati hain
na unka khum nikalta hain
na hamara dum nikalta hain}}
humko kiske gham ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke lutne ka sabab poochoo na sabke samne
naam ayega tumhara yeh kahani phir sahi
{{dil walon kya dekh rahe ho in raahon main
aadhe nazar tak yeh viraane saath chalegi
rajemiya tum shaam se kaise chup baithe ho
kuch to bolo aaise jisse baat badaige}}
dil ke lutne ka sabab poochoo na sabke samne
naam ayega tumhara yeh kahani phir sahi
humko kiske gham ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara ye kahani phir sahi
nafraton ke teer kha ker doston ke sheher mein
humne kis-kis ko pukara yeh kahani phir sahi
humko kiske gham ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara ye kahani phir sahi...
kya batain pyar ki baazi wafa ki rah mein
kaun jeeta kaun haara yeh kahani phir sahi
humko kiske gham ne mara ye kahani phir sai
[NOT WRITTEN BY ME]
GHULAM ALI
No comments:
Post a Comment