Monday, January 11, 2010

mann mein sharaddha bhar le...

woh pooja bhi kaisi pooja
jisme sharaddha na hoye
baade-baade mandir mein
bhakt na aaye koi...
***
roz-roz japta rahe ram ka naam
par ram ka darshan na hoye
mara-mara keh kar bhi likh di ramayan
valmiki ki sharaddha aisi hoye...
***
bin mandir bhi ghanshyam dekhe
meera thi aisi diwani.

bin aakhiyan ke krishna dikhe
surdas ke mann ki aankhen suhani.

bin guru-darshan hi dhanudhar bane
aklavya ki bhakti nirali.

mann mein sharaddha bhar le
prem-pooja ki yahi hai nishani...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: