Saturday, January 9, 2010

waafadar se bewafai karna galat hota hain...


waafadar se bewafai karna galat hota hain
is zamane main bahut kaam ke pass waafa ka hunar hota hain...
***
khushi to dikhati hain roshani ke maakano main
gum ka bhi apna aashiana hota hain...
***
yunh to bik jaate hain har rishtee is zamane main
magar kahan daulat se mohabbat ka sauda hota hain...
***
kehte hain zamane wale usko paagal
kahan sabko mohabbat ka rog pata hota hain...
***
tanha rehna to uska muqaddar hain
mehfilon se kahan dil ka behalna hota hain...
***
chod kar chal diya woh saath sabka
intezaar ka aakhir yahi sila hota hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: