Friday, March 12, 2010

अगर आपकी सीडी गलत दीवार पर टिकी हैं तो आपका हर कदम गलत पड़ेगा !

MANAGEMENT MASTI MAIN!
_______________________________
अगर आपकी सीडी गलत दीवार पर टिकी हैं तो आपका हर कदम गलत पड़ेगा !

Bahut simple si baat hain, bas samajhane ki jarurat hain...

Har insaan ki zindagi main LAKHSYA JARUR HONA CHAHIYE.... Agar aapki zindagi main lakhsya nahi hain to aapka har kadam galat manzil ki taraf hi padega... Ya yeh kahe ki aap banna to Doctor chahate ho aur work Computer Programmer ka kar rahe ho to aapka har kadam galat padh raha hain...

Lakhsya na hone ki ishthiti main insaan bina manzil ke chalate jaata hain... jiski wajah se woh kahan pahuchega yeh usko khuda pata nahi.... CONFUSION main zindagi bhar rahega...

Thoda example dekar samjhane ki koshish karta hu...

Jaise meri zindagi ka lakhsya saachi mohabbat ko paana hain...

Main hamesha saachi mohabbat ki talash main raha... Mujhe dhoka mila, fhir bhi mera qadam nahi dagmagaya... na hi maine zindagi se haar maani... Bahut se mohabbat main failure insaan suicide kar laite hain... ya fhir apne lover ka qatal kar daite hain... ya fhir depression main chale jaate hain... ya fhir zindagi se rishta toodh laite hain... YA FHIR MOHABBAT KE LIYE APNI RAAYE YEH QAAYAM KAR LAITE HAIN KI MOHABBAT KEVAL SEX AUR RUPIYA HAIN...  

Agar meri zindagi main lakhsya nahi hota to shayad aaj main bhi kuch aaisa hi kar chuka hota....

Lakhsya hone ki wajah se mera har qadam saache pyar ki taraf badata raha... Mushkil ke baad bhi main aagey badata raha... Failure ke baad bhi main aagey badata raha... Aur mujhe yakeen hain ki mujhe ek din jarur sacchi mohabbat naseeb hogi...

Isliye zindagi main lakhsya jarur banaiye... 

Yaad rakhe...
1. Mahabharat main Arjun ne Machali ki Aankh ko Lakhsya bana kar Teer chalaya tha, jiski wajah se ghumati hue machalli par bhi teer ek dum uski aankh main laga tha...
2. Lakhsya agar clear hain to aap lakhon mushkilon ke baad bhi hamesha aagey badate jayenge aur ek din jarur jeetenge...
3. Agar aap bina manzil ke chalenge to aap kahan pahuchenge yeh aapko bhi nahi pata...
4. Agar aap confusion main hain to pehle chote-chote lakhsya banaiye... usko poora karne ki koshish kare... jiski wajah se aap main CONFIDENCE aayega aur aap ek BAADA LAKSHYA bana payenge... JAISE EK BAADI BUILDING KO BANANE KE LIYE PEHLE BASEMENT BANAYA JATA HAIN... FHIR FIRST FLOOR BANAYA JATA HAIN... FHIR SECOND FLOOR BANAYA JAATA HAIN... IS TARAH POORI BUILDING KHADI HO JAATI HAIN...

Asha hain ki aap meri koshish se santush honge...

POSITIVE socho... MANN SE SUNDAR rahe... 

No comments: