Thursday, March 25, 2010

यह अच्छा रहेगा! आप अपने दिमाग को कचरे का डिब्बा मत बनाइये ! बल्कि नए विचारों की प्रोडक्टसन यूनिट बनाइये!

MANAGEMENT MASTI MAIN~~~

यह अच्छा रहेगा! आप अपने दिमाग को कचरे का डिब्बा मत  बनाइये ! बल्कि नए विचारों की प्रोडक्टसन यूनिट बनाइये!

Main aapse yeh nahi keh raha hu ki aap mahapurusho ke kahe hue vicharon ka anupalan na kare... balki main yeh kehna chah raha hu ki aap naye vichar laaye... naye soch vikshit kare... naye rasthe khole... duniya ko naye raahe dhikhaye...

Apne dimaag ko kachare ka dibba na banane se mera matlab hain...
Ki aap bekar ki baaton se durr rahe... Ki aap gupshup se durr rahe...Ki aap bekar ki vicharon se durr rahe...  


Ki aap logon ko neecha dekhane ki soch se durr rahe...
Ki aap yeh soch kar pareshan na ho ki usne mujhko bura kahan...
"AAP BRIDGE KO TABHI PAAR KARE, JAB WOH BRIDGE AAYE"... Faltu ke vichar soch kar khud ke dimaag ko kachara mat banaye...
"CHINTAN KARE... MAGAR CHINTA NA KARE... 

Thoda example dekar samjhane ki koshish karunga short main...
Jab bahut saalon pehle SINTEX PANI KI TANKI ki baat INDIA jaise desh main hue... Jahan Ganga, Yamuna, Godavari, Brahmaputra river hain... Punjab State main five rivers hain... Jahan lakhon kuwaan hain, talaab hain, pokhare hain... Us desh main PANI KI TANKI...
WOH BHI KAALE RANG KI...
WOH BHI KAALE RANG KI TANKI GHAR KE UPPER... Poore ghar ki shobha hi kharab kar de...
Pehle sabne is baat ka virodh kiya... Kisi ko bhi yeh vishwas nahi tha ki yeh VICHAR SAFAL HOGA...
Magar YEH VICHAR SAFAL HUA... Aaj urban area main sabke ghar main pani ki tanki aapko dekh jayegi... aaj sabko pani ki tanki ki jarurat hain...   
KYUNKI YEH VICHAR NAYA VICHAR THA...
KYUNKI YEH VICHAR DOORDARSHI VICHAR THA...
KYUNKI YEH VICHAR INDIA KE LIYE NAYE RASHTEE KHOLANE KA VICHAR THA...

ISSI TARAH CHAHE FOOD CHAIN KA BUSINESS HO...
ISSI TARAH CHAHE RETAIL STORES KA BUSINESS HO...
ISSI TARAH CHAHE SHOPPING MALL KA BUSINESS HO...
ISSI TARAH CHAHE MULTIPLEX KA BUSINESS HO...

NAYE VICHAR SA SAB SWAGHAT KARTE HAIN...

Yaad Rakhe...
Apne dimaag ko naye vichar sochane main lagaye... Naye avishkar banane main lagaye... Usko ek naye vicharon ki production unit banaye... 
Naye vichar, naye soch ek naya rastaa dekhate hain... aur aapko safal insaan banate hain... aapki ek alag pehchan dekhate hain...
Aap bridge ko tabhi paar kare jab bridge aaye... Bematlab ki baaton ko soch kar pareshan mat ho...
Chintan kare.... Chinta mat kare...

Asha hain ki aap meri koshish se santusht honge...

POSITIVE socho... MANN SE SUNDAR raho...

No comments: