MANAGEMENT MASTI MAIN...
असफल इंसान जब सफलता के बातें बताते हैं तो कभी - कभी ऐसा लगता हैं की जैसे कोइए नीम हकीम, कैंसर बीमारी का उपचार बता रहा हो!
Ek nazariye se dekha jaye to yeh baat 100 percent sahi bhi hain...
Log kehte hain jab aap khud aasafal ho to MUJHE KYUN SAMJHA RAHE HO... AGAR AAPKO KHUD APNI BAATON PAR YAKEEN HAIN TO AAP KYON NAHI SAFAL INSAAN BAN GAYE???
Kuch point kehna chahunga...
1. Kabhi-Kabhi insaan apni asafalta se bhi seekhata hain...
2. Safalta-Asafalta itna jyada mukhya baat nahi hain, jitni jyada mukhya baat hain ki aap ne prayas kiya...
3. Safalta ko hamesha is nazar se dekhana chahiye ki kal woh insaan kahan tha aur aaj woh insaan kahan par hain... Ho sakta hain ki woh 100% safal na hua ho, magar 10 ya 20 percent jarur safal hua hoga...
4. Safalta ko keval rupiya aur status ki nazar se nahi dekha ja sakta hain.... Safalta to hamesha is nazar se dekhana chahiye ki uske jeevan ke mulya kya hain... uske jeevan main khushi kitni hain, uske vichar kitne shudh hain, woh mann se sundar kitna hain... woh KHUD KA SAMMAN KITNA KARTA HAIN...
5. Free main mili hue cheezh, logon ko hamesha beekar naazar aati hain, yeh human nature hain...
Aap chahe token money Rs. 1/- only kyon na le, magar kisi ko bhi FREE MAIN ADVICE NA DE...
6. Aaj bahut kam log ROZ BHAGVADH GITA/ RAMAYAN ko padate hain, kyunki UNKO YEH LAGTA HAIN KI YEH FREE MAIN MILI HUE HAIN... AGAR RABB JI/ KAVI KABIR/ KAVI SURDAR/ MEERA BAI EK-EK ADVICE DAINE KE LIYE TOKEN MONEY LAGA DAITE TO SHAYAD LOG ISKA AASALI MULYA KYA HAIN WOH SAMAJ PATE.. aur aaj usko apne jeevan main palan karte...
No comments:
Post a Comment