Sunday, March 14, 2010

Chodo yaar...

Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain
*
Jisne har dukh main tera saath dena chaha
Tune ek pal bhi uska saath na diya...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
Jisne har pal tujhse sach bolana chaha
Tune ek pal bhi usse sach na bola...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
Jisne apni har baat sabse pehle tujhko batani chahiye
Tune usko apni kabr ka pata bhi na bataya...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
Jisne hamesha chaha ki uski tasveer tere pass rahe
Tune usko apni ek jhalak dikhane main sadiyaan laga di...
Tu Hi Bata SANAAM Kaun Bewafa Hain...
*
aur kya kahu...
Jisne tera naukar bankar bhi tere pass rehna chaha
Tune usko apni laash ko kandhe par bhi utane na diya...
*
Chodo yaar...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: