Maine maa ko dekha hai
Dekha hai maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine phool to dekhe hain
Dekhe hain phool to dekhe hain
Phoolon ka haar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Vaise to ghar main maa ki tasveer hai - 2
Lekin meri aaisi kab taqdeer hai
Kabhi jo ghabraun, gale se lag jaaon
Agar na neend aaye, to lori vo gaye
Meri mann jiska pyasa hai
Pyasa hai jiska pyasa hai
Vo laad dulaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Vaise to meri maa ka dil koi saqt nahi -2
Par uske paas jara bhi waqt nahi
Hai uska naam bada, hai usko kaam bada
Vo devi mamta ki, hai leader janta ki
Maa ke photo ke bina
Bina ji photo ke bina
Koi akhbaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Pyaari pyaari hai vo bholi aisi hai -2
Kal aaya se poochha ki baby kaisi hai
Meri maa sachi hai
Badi hi achhi hai
Yeh uska dosh nahi
Use kuch hosh nahi
Maa ne duniya dekhi hai
Dekhi hai duniya dekhi hai
Ghar sansaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine phool to dekhe hain
Dekhe hain phool to dekhe hain
Phoolon ka haar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai
[NOT WRITTEN BY ME]
No comments:
Post a Comment