Saturday, March 13, 2010

na jaane kyon...

pal bhar main rishta-naata toodh deta hu
na jaane kaun si duniya main rehta hu...
***
kisi se kuch bolta nahi
sabse khafa-khafa sa rehta hu
na jaane kyon apni pehchan se dara-dara sa rehta hu...
***
guzar chuka hain dard ka lamha
fhir bhi main kisi ko maaf nahi karta hu
na jaane kaun se mizaaj main rehta hu...
***
uske naam ki sharaddha kyon nahi rahe hain Romil
na jaane aajkal har aache ko kyon bura samajhata rehta hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: