Friday, April 23, 2010

NAAZOO KI BAATEIN...

NAAZOO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing CHOTI-CHOTI BAATEIN...

Class 7th ki baat hain...

[RoMiL - Naazoo jab mera charith kharab hain... jab main ladai-jhagada karta hu to fhir kon mujhse dosti karti ho...]

NaaZ - $ultan... aapne bhi pada hoga...

Raavan ko marane ke liye Ram ko dhanush uthana hi pada tha... Aap ladai jhagada, magar koiye yeh nahi sochata ki aap kyon ladai-jhagada karte ho... Aap kabhi galat naho hote $ultan...  Magar hamari nazar main aap sahi bhi nahi hote...

Mahabharat ke yudh main, Karan hamesha se sahi tha... Magar woh galat jagah khada hua tha... Keval sahi hona hi thik nahi hain, balki aap kahan khade ho aur kiske saath khade ho yeh baat bhi bahut jaruri hain...

Kuntiputra Karan ke saath hamesha se dogalapan hota raha... Kunti ne kabhi usko pyar nahi diya...
Hamesha se Karan ne hi Tyaag diya hain...
Sab jante the ki woh Sarvashetra Dhanudhar hain, fhir bhi woh ishtan Arjun ko diya gaya... Arjun se machali ko teer marane ko kahan gaya... aur us Karan ko baitha diya gaya...

Karan ko bhi yeh pata tha ki woh galat ka saath de raha hain... Magar Pratishodh insaan ko galat jagah khada kar hi daita hain...

Yaad rakhana $ultan...
Galat sangath, Galat dost, Sarvashetra Insaan ko bhi galat raah par khada kar daite hain...

No comments: