Friday, June 11, 2010

NAAZ KI BAATEIN...

NAAZ KI BAATEIN...
___________________

4th standard

RoMiL - Janti ho NaaZ... is mohalle main log bahut gandi-gandi gaaliyaan daite hain...

NaaZ - Aapko humne kahan tha na... ki aapka mind, aapka vivek sirf aapke haath main hain... aap chaho to isme aachi baatein dalo ya fhir gandi baatein.... Allah ne iski shakti aapko di hain... sirf aapko... "Bheed main bhi Ayekant rehna seekho janab"

RoMiL - ohhhhh... hum jante hain.. tum to... humne to bahut si gaaliyaan seekh bhi li hain kal... janti ho... kal woh Ramesh hain na sharab pi kar ghar aaya tha aur apni wife ko bahut si gaaliyaan de raha tha... sachi... aur ladai bhi dono kar rahe the... sachi...

Gharon main ladai kyon hoti hain NaaZ ???   

NaaZ - Aapko pata hain $ultan.. Jis ghar main THREE MAGIC hote hain... us ghar main kabhi bhi ladai nahi hoti.... 

1. Jis ghar ke baache subah utha kar apni ammi-abba ko salaam kehte hai... unki sewa karte hain... unka ashirwad laite hain... $ultan... Ammi-Abba ko ussi tarah rakhana chahiye jis tarah koiye Motu Lala apni Tijori rakhata hain... Motu Lala apni tijori ko kitni sambhal kar rakhata hain, uski kitni care karta hain... naukaron ko uske pass aane nahi deta... roz tijori ki pooja karta hain.... hain na...  

2. Jis ghar main sab log allah ko yaad karte hain... Aapke yahaan ko ek saath prayer kar sakte hain, ek saath mandir ja sakte hain, ek saath mandir ki ghanti bhi baaja sakte hain... hain na...  

3. Poore din main ek baar saath baith kar khana khana chahiye... ho sake to raat ka dinner sab log saath kare... Agar dada-dadi buddhe ho gaye hain to...hehehe... to unko jaldi khana khila kar sula dena chahiye... aur jab raat main sone se pehle unke pair jarur dabane chahiye ya chune chahiye...   

Chalo aapko EK MAGIC dekhate hain... bhaagoooo.... 

RoMiL - Tum mujhe kahan le aaye ho... mujhe darr lag raha hain NaaZ... Mujhe darr lagta hain...
NaaZ - hehehehehe... Waise toh baade sher bana fhirte ho... ab darr lagta hain...

RoMiL - Lag raha hain mujhe darr...
NaaZ - hehehehehe...

RoMiL - Chalo yaahan se...
NaaZ - Dekho kitne aaram se sab so rahe hain... Bilkul aaram se... Kitna aacha-aacha sabki kabr par likha hua hain...

Na koiye ladai jhagada aur na koiye gussa karna aur na koiye chidchida pan...

na kabr par likha hain ki yeh insaan kitna ganda hua karta tha, kitne upshabd kahan karta tha, kitni galiyaan diya karta tha, kitna gussa kiya karta tha... Bas aacha-aacha likha hain....

Dekho yeh kabristan kitna aacha hain... yahaan sab log kitne aachi tarah reh rahe hain... sabke baare main kitna aacha-aacha likha hua hain...

Sab log khamkha ladai karte hain, jhagada karte hain, chidchidate hain... magar ek din aakar issi tarah chupke se so jaate hain...

Insaan ke saath hamesha shanti hi rehti hain... 

Woh Allah sirf shanti pasand logon ko pasand karta hain... Ek din hum bhi yahi aa jayenge...

RoMiL - Thik hain... abhi yahaan se chalo baba... Tum bhi ek dum dadi amma type ho... tum se baat karna Rabb Ji bachaiye...

No comments: