Kisi mausam ka jhonka tha jo is deewar par latki hui tasweer tirchi kar gaya hai
gaye sawan mein ye deewarein yun seeli nahin thi
na jane kyon is dafa inme seelan aa gayi hai,
dararein par gayi hain
aur seelan is tarah bahti hai jaise,
khushq rukhraron pe geele aanso chalte hain.
ye baarish gungunati thi isi chat ki munderon par
ye baarish gungunati thi isi chat ki munderon par
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par ungli se likh jaati thi sandese
girti rahti hai baithi hui ab band roshandano ke peeche.
dupehrein aisi lagti hain,
bina muhron ke khaali khaane rakhein hain
na koi khelne waala hai baazi
aur na koi chaal chalta hai
na din hota hai ab na raat hoti hai sabhi kutch ruk gaya hai
wo kya mausam ka jhonka tha
jo is deewar par latki hui tasweer tirchi kar gaya hai
No comments:
Post a Comment