kash kuch pal uska mehmaan hota
main bhi apni qismat ka qadardaan hota
woh apna naqab hata kar mujhse milti
main bhi nazaron ka thoda beimaan hota
simta leta usko apni baahon mein
neeche zameen aur upper neela aasmaan hota
reh-reh kar baarish ki boondein gir rahi hoti
khuda bhi apna milan dekh kar khush hota
ajeeb tarah se un khoobsurat palon ka basar hota romil
har saans mein sirf uska naam hota...
kash kuch pal uska mehmaan hota...
No comments:
Post a Comment