"sawal ab yeh nahi hai ki pani barsega ya nahi
sawal yeh nahi ki mein jiyunga ki marunga
sawal yeh hai
is duniya ko banane wala, chalane wala koi hai ya nahi
is duniya ko banane wala, chalane wala koi hai ya nahi
agar nahi hai to parvah nahi mujhe zindagi mile ya maut aaye
ek andhi duniya mein, andhe ki tarah jeene mein koi parvah nahi
aur agar hai
to dekhana yeh hai ki woh apne majboor bandon ki sunta hai ya nahi"
"Raju So Gaye
Soya Tha Par Ab Kuch Kuch Jagane Laga Hoon"
The climax also teaches the Bhagavad Gita's principles: "Man does not die it is only body which dies. Soul remains for ever."
"Raju, Raju...
Jahan Apne Aap Sar Jhuk Jate Hai
Bhagwan Ko Bhi Pathar Ka Roop Maan Liya Jata Hai
Jis Jahan Ko Dekh Kar Parmatama Ki Yaad Aaye
Woh Tirtha Kehlata Hai
Aur Jis Aadmi Ke Darshan Se Parmatama Mein Bhakti Jaage
Woh Mahatama Kehlata Hai"
To agar tere karan purana mandir tirath isthan ban gaya hai
hazaron log, hazaron aankhen upper utha rahi hai prakash ki oor
To fir tujhe chinta kyon?
Sar Jhuka Le
aur
Shant Ho Kar Beth Ja
Samaj le ki karne wala koi aur hai
tu sirf ek bahana hai
KAAM USKA NAAM TERA
USKA NAAM LE AUR JO SAUPA GAYA HAI US KAAM KO KARTA RAHE
MERI TARAH
EK PATHAR KI TARAH"
No comments:
Post a Comment