Wednesday, July 31, 2013

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye
khuda, khud mandir se nikal kar aaye
poche kisi majdoor ka pasina apne haaton se
kisi bhookhe ko apne haaton se roti khilaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

kare sadak par pade bade-buddhon ki khidmat
garib bacchon ko khilauno se khilaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

bichaye fool kisi footpath par majdoor ke sone ke liye
kisi garib ka bhujha hua chulaha jalaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

pehnaye kapde kisi bebas insaan ke tan par
kisi garib ki jhopadi ka chappar lagaye

Romil, kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

No comments: