Wednesday, June 20, 2018

EndU Chipkalli...

EndU Chipkalli...

matmaili si...
halki bhoori si...
thodi tagdi-moti si...
chhoti si puchh wali...
mooti se do naino wali...
deewaron pe chehalkadmi karne wali...
Maa ki tasveer ke peeche chhup ke rehti hai...

jab dekhe koi keet-patanga-makkhi...
to jhat se nikal...
apni juban se pakad fhata-fhat kha leti hai...
fir Maa ki tasveer ke peeche jakar chhup jaati hai...

jo main utha kar jhadhoo usko maarne dhaudun...
to sar-pat bhaag Maa ki tasveer ke peeche jaakar dubak jaati hai...

main jhadhoo haaton se pakde uska intezaar karta rehta hun...
woh chor nazar se mujhe dekhkar fir tasveer ke peeche dubak jaati hai...

roz mera-uska yahi khel chalta rehta hai...

ab to woh mujhe pehchanne lagi hai...
Kamre mein meri aahat paate hi Maa ki tasveer ka sahara le leti hai...

EndU Chipkalli hai...

- raj

No comments: