Saturday, June 30, 2018

Memorable Visit of RadhaSoami Satsang Beas Dera...


"Kahi jao ya na jao....
Zindagi Mein Kahi Jao Ya Na Jao... 
Par Ek Baari Jarur RadhaSoami Beas Dera Jao..."

Sacchi...

"Dhan-Dhan Bhagya Mere Jo Main Guruo Ki Dharti Pe Gaya"

Starting... In Canteen No. 2
Mahila Sangat aur Pakode wale mein bahut dair se Jubani Jung chal rahi thi... aur Last mein us Mahila Sangat ne kya dialogue maara...

"Apne Baap ke Ghar aai hun, tere ghar nahi, la wapas kar coupon mere"...

Main mann hi mann bola... Romil Babu bahut maza aane wala hai yahan...

hahaha...

Sach mein Sangat ka aisa Vishwas dekhkar main gadgad ho Gaya... Itna confidence hona ki yeh Dera mera ghar hai... Really salute to this lady...

Main gaya tha sirf 2-3 hours ke liye aur ruk gaya 2+1/2 din wahan...

Re-starting...

1. Mobile, Camera deposit...

Sabse aachi baat rahi ki mobile, camera aapke Main Front Gate No. 5 par hi deposit ho jaate hai... 


Main jaise hi mobile, camera, charger apne deposit karke palta... Tab hi collect karne wali Ladki boli "RadhaSoami Ji"... Itni meethi-sheere se Shabd... Sunte hi mann apne aap bol utha, Baba Ji se milkar kehna hai "Yeh Kudi Mainu Labh Do..." hahaha... Maine uska face tak nahi dekha, yeh bhi nahi pata ki woh wheelchair pe thi ya chair pe... Par usne Power wala Chasma pehna tha... hahaha... 

PCO facility available in Dera.

2. Coupon Slip

Main jaise hi front gate se andar pravesh kiya... Ek family aai mere pass aur usne mujhe Rs.82/- ke coupon free mein de diye aur bole "Beta, aap andar canteen mein jakar kuch kha lena, hum nahi kha sake"...

Baba Ji di Mehar si... "Main raati se dino tak kuch nai khaya si, sirf chah pia si... Baba Ji ne socha ki Munda bhookha hai pehle isko Bhojan karwao..." Bakshees hai...

3. Canteen Facility

Amazing... 100 mein se 100 marking... I'm not believe 27/- only Thali, 5/- Tea, 9/- Jumping, 9/- Milk, 11/- Choley-Bhature, 11/- Poori-Sabji, 16/- Halwa, 17/- Meethi Lassi, 5/- Bundi Ladoo, 3/- Rusk packet etc.etc.etc...

Main poori trip (Jammu, Punjab, Himachal Pradesh) mein itna rupiya apni fooding mein nahi kharcha kiya, jitna Dera wich kiya...

Thali...
Maa ki yaad aa gai... Sacchi... Aankhon mein aansoo the... Maa ki ruksati ke Baad maine aaj first time, first time, first time itna aacha khana khaya tha... Really...

Aloo-Matar-Badi ki sabji... Jaisa maa ka banaya swad tha... Same waisa hi swad...

Karela sabji... Bilkul maa ke swad jaisi sabji...

Chai... 5/- rupiya mein bada wala cup bharkar... Maa ki yaad tazaa ho gai Chai pekar.... Sacchi...

Nimboo da aachar... Maa ki yaad aa gai... Mujhe yaad nahi maine itna wadiya aachar maa ki ruksati ke Baad kab khaya tha..

Maine sabkuch khaya...
Thali (03 times), Meethi Lassi, Boondi Ke Ladoo, Poori-Sabji, Jumping, Rusk, Biscuit, Banana, Halwa, Chai (Several times), Toffee, Bread Pakora, Choley-Bhature...

Sangat to Ketali, Jug, Bottle mein Chai bhar-bhar ke le ja rahi thi... Milk, Lassi bhare le ja rahi thi... Biscuit ke packets, Toffee ke packets, Rusk ke packets, Jumping packets bhare le ja rahi thi... 

Bath soap, kanghi, saving cream, cloth soap etc.etc.etc. aur Sab branded items... Aisa nahi hai ki khud ka koi manufacturing ho...

Koi pabandagi nahi, Koi roka-toki nahi... Jitna marzi ho utna khao-piyo, khareedo... 

aur Sab cheez Full Bhar kar, ek inch. bhi Khali nahi chhodate the... Chai ka cup poora upper tak bhar kar... 

Mehar Guruo ki hai... Sacchi... Mehar hai...

4. Darshan...

1st day main 8 baje morning Satsang Pandal mein pahuch Gaya... Par Sangat to pehle hi aage kabza jamaye baithe thi... Fir bhi Guru Ji ke darshan hue, Satsang hua aur unhone 45 min. (8:30 to 9:15) apne darshan diye... Thodi doori pe the meri aankhon se...

2nd day main tadke hi Satsang Pandal mein Sabse aage pahuch gaya... Guru Ji mere theek samne, khul ke darshan hue...

Guru Ji aaye unhone Guru Gaddi ko pranam kiya, Sangat ko pranam kiya, RadhaSoami bola aur Satsang shuru... 45 min. tak Satsang hua...

Simple si Guru Gaddi hai... Guru Ji 45 min. tak se seedhe baithate rahe hilte tak nahi, sirf aankh hilakar Sab dekhate rehte hai... Satsang sunte rehte hai... kuch bolte nahi hai... Main to us 45 min. ke samay mein na jaane kitni baar apni Qamar, pair seedhe, ulte kar Chuka tha...

Guru Ji ke chehare pe Noor tha... Ajeeb si Kashish hai chehare pe...

Satsang ke dauraan meri aankhon se apne aap aansoo gir rahe the... Maa ki bahut yaad aa rahi thi...

5. Pani...

Itna Suddh, Swach, Nirmal Pani... Kabhi hum Lakhnau mein piya karte the, ab to woh bhi Naseeb nahi hota... 

Sach mein Pani peekar jism mein prasannata aa gai...

6. Sewadaar...

Sab Dil se sewa mein Lage hai... Par kuch sewadaar Sangat se pareshan ho jaate the... Isliye thoda kharab vyavahar kar baithate the...

Sangat bhi kapde dhokar wahi parks, shed mein fhela deti hai... Jidhar marzi ho udhar chatai bicha lete hai... Jab Canteen ka time khatam ho jaata hai, tab bhi jabardasti andar jaate hai, yeh nahi pehle Satsang sun lo, fir kha-pi lena...

Ab Haryana, Punjab di Kudiya, Mahilaye Bina ladai-jhagda, shor-sharabba ke kahan Basar kar Sakti hai.... Hahaha....

7. Langar

Khuli langar ki sewa... Maine ek Baari khana khaya ... Do Baari Chai pi langar mein...

Langar da kya kehna... Shabd Kam pad jaane hai... Guruoa di sab baksheesa hai... Dekh kar lagta hai sab Kul Maalik da qaram hai...

8. Shed...

Hostel Full... Room Full... Sarai Full... Waise bhi akele Ladke ko nahi dete hai room, family walon ko dete hai Yeh Sangat ka opinion tha... Fir last option Shed... Main Shed No. 13 mein ruka... Rs.60/- deposit kar Chatai li... Bag ko pillow banaya aur aaram farmaya kacchi mitti wali Zameen pe... Mazaa aa Gaya... Sacchi...

Par barsaat ka Mausam tha isliye barsati keedon ne thoda pareshan kiya raat mein...

9. Vyavastha...

Toilet facilities, Bath facilities, Dera mein Rickshaw facilities... Atmosphere... Road facilities... Cleaning facilities... Medicine facility... . Bags deposit Ghar, Hawa Ghar... Coupon facility... Sab kuch 100 mein 100 marking...

10. Sewa

Maine pucha sewa ke liye to bole sewadaar pehle registration karwana padta hai.... Satsang mein Raudi Todane ki sewa karne ko kaha Gaya tha... Par mujhse nahi honi thi... Isliye mein Canteen aur Langar mein hi Bartan ki sewa kar li... Sangat ke Bartan utha kar dhone wali jagah rakh deta tha...

Mere liye hamesha Yeh trip yaadgaar rahegi....

No comments: