Monday, June 18, 2018

Radio... kai baar yunhi dekha hai...na biwi na baccha... qasme vaade pyar waafa... ankhiyon ke jharokon se...sach mere yaar hai...

Aaram se dono pair sofa pe rakhkar tumne kahan tha...
"Matar-Pulao sach mein lajawab the... Magar tumne bahut faltu ki cheezein usme daal rakhi thi...

tamatar...badi-badi hari mirchi, dhaniya patti, adrak ke slices... chhoti-badi laung... 

biryani bana rahe the kya?

jab aloo already matar-pulao mein tha, to tum Aloo ka Raita na banakar Plain Curd hi rehne dete...

waise Italian Sauces hoti to mazaa aa jaata...

Maine bola tha...
"bahar ka Gate kholo, pehle seedhe, fir left, fir right... bahut se restaurant hai, jakar le aao....

Tum boli thi...
Very funny...

Radio mausam ke saath luppa-chippi kar raha tha... apni surili awaaz ka jadoo bikher raha tha...

"kai baar yunhi dekha hai,
yeh jo mann ki seema rekha hai,
mann taudane lagta hai...

anjaani pyas ke peeche,
anjaani aas ke peeche,
mann daudhane lagta hai.."

(Lo Mr... Coffee)

Tum boli thi...
"kya kar rahe ho? mere lappi pe?

Maine kahan tha...
"investment kuch kar raha hun..."

Tum dekhate hi bol uthi thi...
"agar mera ik bhi paisa dooba na... main tumse hi with interest recovery karungi... keh deti ho..."

Radio mere sur ke saath sur milane laga tha...
"na biwi na baccha... 
na baap bada na maiya...
the whole thing is that ki bhaiya sabse bada rupiya..."

Maine kahan tha...
"Theek hai... le lena... main khud ko girvi rakhke la dunga....

Tum bol uthi thi...
"woh to tum mere pass already girvi ho... hehehehe...."

Maine kahan tha...
"heart pe lagi hai yeh baat..."

Radio bol utha tha...
"qasme vaade pyar waafa 
sab baatein hai baaton ka kya
koi kisi na nahi hai Jag mein jhoote naate hai naato ka kya"

Fir tum bistar pe laite book padte hue bol uthi...
'''aaj mandir gai thi akele...
maa aur hum-dono ke naam se prasad chadhaya hai... Kitchen se le aaoge... Bowl mein rakha hai..."

Main utha aur prasad le aaya tha... Aur bola tha...
"Itna kam kaise hai Prasad?...

Tumne jawab diya tha...
"woh bhookh lag rahi thi raste mein to kha liya tha..."

Main bol utha tha....
"Yeh Prasad hai... Koi snacks nahi..."

Main laptop mein laga tha... tum book mein aur radio raat ki kaalika mein gum hota ja raha tha...

"ankhiyon ke jharokon se maine dekha Jo saawre, 
tum door nazar aaye, badi door nazar aaye...
band karke jharokon ko zara baithi jo sochane ,
mann mein tumhi muskaaye"

Book ko apni goad mein rakh kar tumne kahan tha...

"Radio ki voice thodi badaa do Hero...

Gurudware bhi gai thi aaj... Next Sunday ko maa ke naam se Chai-Matthi-Biscuit ka langar rakhwaya hai... Yaad se saat chalna mere...

aur Mr. sone se pehle saare investments ki details Excel file mein bana kar mere desktop mein rakh dena... Radio ki voice thodi low kar do please..."

Radio apna nagma mujhe sunaye ja raha tha...

"sach mere yaar hai, bas wahi pyar hai,
jiske badle mein koi jo pyar de,
Baki bekaar hai yaar mere... Oh yaar mere"

- raj

No comments: