Wednesday, June 13, 2018

Radio... Shed...

zara si barsaat kya hui...
sadak ek dum sunsaan si ho gai...
mitti ki bheeni-bheeni khushboo is mitti ke jism ko mehkaane lagi...

jagah-jagah khaali Shed ke neeche log ikattha hone lage...
jahan jisko jagah mili woh wahi thehar gaya...
kuch naujawan pehli barsaat ka anand le premalingan mein mashroof ho gaye...

jaanwar...Gai, Bail, Kutta, Khacchar... aur insaan sab saath-saath ek hi shed ke neeche kitne aache lag rahe the...

main bhi ek aise hi shed ke neeche khade... ek haseen ko thodi dair ke liye nihaar raha tha, jiske kapde barsaat mein bheegane ki wajah se badan se chipke hue the...

Tabhi ek addhad se bujurg ne apne purane zamane wale mobile mein Radio chalu kar kaanfhaad awaaz mein gaana baja diya...

"nit khair manga soniye main teri, dua na koi aur mangdi"

theek us gaane ke baad hi... Dusara baj utha...
"Sanu ek pal chain na aave, sajna tere bina"...

main us haseen ladki ko nihaarna bhoolkar, tumhare adh-pakke se khawabon mein kho gaya...
dheemi anghethi pe un khawabon ke saath khud pakne laga...

thodi dair baad...
barsaat tham chuki thi...
shed mein sirf hum teen bache the... Main, Woh radio wala addhad-bujurg aur kutta... baaki sab ojhal ho chuke the...

usne radio band kiya...
main honton pe ajeeb muskaan liye ghar ko nikal pada...
kutta usi shed ke neeche aaram se sone ki koshish karne laga...

- raj

No comments: