Monday, July 23, 2018

Radio... Jab koi baat bigad jaye... Ek pyar ka nagma hai... Ajeeb dastan hai yeh...

Radio pe Instrumental song baj raha tha...

"jab koi baat bigad jaye...
jab koi mushkil pad jaye...
tum dena saath mera... O humnava...
na koi tha... na koi hai...
zindagi mein tumhare siwa...
tum dena saath mera... O humnava..."

Tabhi tumne pucha tha...
Yeh Gaaliyan tumne kaha se seekhi?

Maine kaha tha...
Virasat mein mili hai...

Tumne fir kaha tha...
Virasat?

Maine bola tha...
Haan... Maa-Baap dono dete the... To seekh gaye...

Baap ki to aadat thi.... Gaali-Galauch ki... Maar-Peet, Ladai-Jhagde ke... Jab tak roz 2-3 logon ki Maa-Behan sek na de, tab tak uske dil ko tasalli nahi milti thi...uska din poora nahi hota tha...

Maa majbooran hokar deti thi... Samaaj akeli aurat ko ladai karne ke liye yeh sab hatiyaar de hi deta hai.... Samaaj ne maa ko waisa bana diya tha... Aur Kabhi-Kabhi shaukiya, mazakiya de deti thi...

Bas dono ki kripa se sab seekh gaye... hahaha...

Radio par Naya instrumental song baj utha tha...

"ek pyar ka nagma hai...
maujon ki ravaani hai...
zindagi aur kuch bhi nahi...
bas teri-meri kahani hai..."

Tumne fir bola tha....
Mujhe lagta hai Dad aache insaan rahe honge?

Maine kaha tha...
Tumko aisa kyon laga?

Tumne jawab diya tha...
Main jab tumko dekhati hu... To sochati hun...

Ek ladka jo apni maa se itna pyar karta hai...
Jo ek ladki ke liye 12 saalon tak loyal, imandaar reh sakta hai... caring, supportive hai...
Jo betiyon, bujurgon ki itni respect karta hai...
Jo thoda bahut... thoda bahut sanskari, dharmik type wala hai...

Woh kahavat hai na...
"baap pe beta, sipahi pe ghoda...
jyada nahi to thoda-thoda..."

Isliye aisa lagta hai Dad ek aache insaan rahe honge...

Maine kahan tha...
Aache, bure ka to mujhe nahi pata... Par mere liye usne kuch bhi kiya nahi... Kam se kam hamari padai-likhai ka kharcha hi utha leta...

Ek fhooti kaudi bhi nahi chhodi hamare liye....

Waise mujhe mere Baap ka kuch chahiye bhi nahi tha...

Radio naye tarane ki taraf badh chala tha...

"Ajeeb dastaa(n) hai yeh...
Kaha shuru kaha khatam...
Yeh manzile hai kaun si 
na woh samajh sake na hum...."

- raj

No comments: