Friday, July 13, 2018

RSSB - Prem aur Bhakti, Bhajan se jyada mahatvapurn hai...

Prem aur Bhakti, Bhajan se jyada mahatvapurn hai. 

Prem apne aap mein sampoorna hai.

Prem mein Premi aur priyatam dono ek ho jaate hai, aashiq aur mashook ek ho jaate hai.

Prem se bada koi bhajan nahi hai.

Prem se uccha koi kanoon nahi hai, Prem se pare koi manzil nahi hai.

Parmatama aur Prem ek hi hai.

Bhajan mein mehnat karni padti hai, Prem mein sab kuch apne aap hota hai.

Prem ka artha hai - Shabd mein leen ho jaana, apne aap ko, apni khudi ko kho dena.

No comments: