Maharaj Ji ne Ek Langade Satsangi ka udaharan dekar is baat ko samjhaya, "vah Langada Satsangi Bhandaro(n) par Himachal Pradesh ke pahadon se aata tha aur bahut garib tha. Vah 75 meel baisakhi ke sahare paidal chalkar aata tha, taki sewa mein dene ke liye rupiya bacha sake. Sewadar Ek din dhan ki sewa ke liye use mere pass laye. Usne ek rupiya sewa mein dena chaha. Uski garibi dekhte hue maine Sewadaron ko uski sewa lene se mana kar diya, is par wah rone laga aur mujhe uski sewa manjoor karni padi."
Maharaj Ji ne pucha, "kya is sewa ki keemat aanki ja sakti hai? Kya yeh dhanwano(n) ke diye hue hazaro(n)-lakho(n) rupiyon se jyada keemati nahi hai? Sewa ka mulya isse nahi aanka ja sakta ki aapne kya diya hai; uski keemat to us prem ki bhavana mein hai jiske saath vah sewa di gai hai".
RadhaSoami Ji...
RadhaSoami Ji...
No comments:
Post a Comment