Yeh to aapko maloom hai ki aaj Huzur Maharaj Ji ka Janamdin hai.
Aise din, jab Mahatma is dunia mein aate hai, hamare liye bade kalyankari hote hai, badi khushi ke mauke hote hai, kyonki unke aane se hazaron-lakhon jeevon ka uddhar hota hai. Veh humein bhakti ka tareeka sikhakar, humse maalik ki bhakti karwakar, humein apne saath le jakar Parmatma ki goad mein pahucha dete hai aur is tarah hamara janam-maran ke chakkaron se chhutkara ho jaata hai.
Mahatma ke janamdin ki khushi keval halwa-poori khakar hi nahi manani hai, balki humein apne andar vichaar karna hai ki jis raste pe unhone humein chalaya hai, jo seekh unhone humein di hai, kya us par hum sacche dil se chal rahe hai? Humein apne dilo mein khozana hai ki jin ucche usoolon par unhone humein khada kiya hai, kya un par hum qayam hai? Agar nahi, to humein chahiye ki un trutiyon aur kamjoriyon ko door karne ka barkas priyatna karein.
- Maharaj Ji
RadhaSoami Ji...
No comments:
Post a Comment