Sunday, July 29, 2018

Sahi hai... Sahi hai... Sahi hai... Sahi hai...

Sahi hai... Sahi hai... Sahi hai... Sahi hai...

kabhi to kaho meri nazron se nazrein milakar...
Galat hai...

tumne GALAT aurat se ishq kiya...
tumne GALAT kiya jo intezaar kiya...
tumne GALAT kiya jo usko paane ki inteha mein khud ko kho diya...
tumne GALAT kiya jo is dunia mein ishq ko sabse uccha mukaam samjha...
tumne ab tak sirf GALAT kiya... GALAT kiya... GALAT hi kiya...

- RaJ

1 comment:

Anonymous said...

��️��️��️��️

Lo nazrein chaar krke khti hu...

Tumne GALAT aurat se pyr kiya...Aab sahi aurat dhundne ussey pyr kro...
Tumne GALAT kiya jo intezar kiya..Aab zindagi ko aaj me jio...
Tumne GALAT kiya jo usko pane ke intehaa me khud ko bhula diya...Aab apni ehmiyat ko smjho aur apne liye jio...
Tumne GALAT kiya jo ishq ko sabse uncha mukaam diya...Aap khud ko unchai ke bulandi ke mukaam tk le jao..
Tumne ab tk sirf Galat Galat Galat he kiya..Aab to sab kuch Sahi Sahi Ur Sahi krlo..Naaz ka sapna pura karlo..Maa ka sapna pura krlo...

����