Tuesday, August 14, 2018

RSSB - Beas ke Santon ki ek visheshta yeh hai ki...

Beas ke Santon ki ek visheshta yeh hai ki ve sadharantya apne shishyon ke prarabdha mein dhakal nahi dete. Ve is baat par zor dete hain ki agar shishya Parmatama ki razaa mein raazi rahe to ruhani tarakki mein madad milti hai.

Veh vyapar, pariksha ya mukaddame mein safalta dilane ki baat nahi karte aur na hi aachi naukari dilaane ka vaada karte hai; balki ve is baat pe zor dete hain ki humein sukh-dukh, safalta-asafalta, harsh-shok aadi sabhi mein santulan ya samta banaye rakhni chahiye aur apna ruhani abhiyaas in badalti hui paristhitiyon mein bhi karte rehna chahiye.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji

No comments: