Parmatama ek hai aur vah hum sabke andar maujood hai. Yeh ek aisi sacchai hai jisse kisi ko bhi inkaar nahi(n). Jitni adhik hamare dil mein Parmatama ke prati bhakti hogi, pyar hoga, utna hi hum ek-dusare ke nikat honge. Jitna adhik hum Parmatama ko bhulate jayenge utne hi hum ek dusare se door aur vimukh hote jayenge; yeh baat logon par hi nahi(n) balki Rasthron par bhi lagoo hoti hai. Aaj hamara jhukaav Parmatama ko bhulakar sansarik pradharton aur uplabhdiyon mein sukh aur shanti dhundhane ki oar hai. Jitna hum unki oar bhagate hain, utne hi hataash aur dukhi hote jaate hai.
- Maharaj Ji
RadhaSoami Ji
No comments:
Post a Comment