Thursday, August 16, 2018

tum apna saara gussa mujhpar utaar do...

tum apna saara gussa mujhpar utaar do...
tumhe sukun milega.
aur tumhe sukun mein dekhkar mujhe sukun milega...

Tarjuma...

Rahi baat meri... Waise to usne kahi baar mujhe baatein sunai hai, par mujhe kabhi uski koi baat namanjoor nahi hui... Sivaye ek shikve ke ki "ek baar pehle bhi aapke sms ki vajah se meri zindagi mein bahut pareshani ho chuki hai..."

main kabhi nahi chahta meri wajah se uski zindagi mein koi dikkat aaye. Nadani mein mujhse koi galti ho jaye to maafi chahata hun.

mujhe to kabhi uske gusse par bhi naraazgi nahi hui, balki ek sukun mila ki uske dil ka gubaar nikal gaya...

#Romil

No comments: