Monday, August 20, 2018

Zamana jo kar raha hai karne do...

Zamana jo kar raha hai karne do Puttar Ji...

Tujhpe koi asar nahi hoga...

Na sunega tu kisi ki baat...
Na chalega koi Jadoo-Tona...
Na asar karega yeh tabeezon, aayaton ka khel...

Tune woh kahani suni hai...
Jisme ek Bande ki Jaan ek Tote mein qaid hoti hai...

Usi tarah teri bhi Jaan... Teen jagah bati hui hai... Teen jagah qaid hai...
Ek teri ammi mein...
Ek us farista rooh ladki mein...
Ek us ishq ki maari Bandi mein...

Jab un teeno pe kuch asar hota hai, tab tujhpe asar dikhta hai...

Tu poora mukammal to qayamat ke din hi hoga... Ya us Rab ki chaukhat pe jaane ke baad...

Bas darta hun woh Farishta Rooh, Badrooh na ban jaye... Tere liye woh Rehmaan-e-Rahim se bhi bheed jayegi...

Par Baba, Rooh bat kaise sakti hai? Woh bhi teen jagah...

Hahaha... Usi tarah jis tarah Maalik ek hai, par woh hazaron-lakhon mein bat chuka hai... Sab khel hai Parwardigaar ke...

#Romil

No comments: