Wednesday, September 5, 2018

Ek baar...

Ek baar padosi aur khadi mulkon mein survey ke dauraan maine yunhi kuch bujurg logon se pucha... "aap log khandan mein hi shaadi ko itna kyon tavajju dete hai..."

Bahut saare jawab mile... Unmein se yeh chaar jawab jo mujhe chhoo gaye...

1. Dono baache bachpan se hamari aankhon ke samne hi pale-bade hote hai... hum bujurg aachi tarah se jante-samajhate hai ki kis bacche mein kitni burai-kitni aacchai chhupi hai... kiska kaisa chaal-chalan, tunak-mizazi raha hai... Jab kabhi inke rishton mein talkhi, dooriyan aa jaye to humein aapas mein raye-mashwara karke suljhane-samjhaute mein aasani rehti hai.

2. Khandan ke bacche Khandan mein hi rehte hai... Aapka khandan bada hota hai... Warna aajkal ke bacche apne Purkhon, Chacha, Phupphi, Mama-Mamiyaani ke naam tak bhi nahi jaante hai. Ek ke dukh-sukh mein poora  Kunbaa khada ho jaata hai.

3. Thok-Baja ke sudhare hum inko... Layak hum banaye inko... Inki pothariyan hum dhoye... Chapet hum lagaye inko... Naazo-Nakhare hum uthaye inke... Fir kisi aur ajnabi kunbe mein kyon bheje, jab apne hi khandan mein aache rishte, aache bacche hai...

4. Ishq ki kadr hum bhi karte hai... Agar kisi ko Khandan ke bahar ishq hai kisi se to hum inkaar nahi karte hai, uska nikaah usse hi karwate hai... Aakhir Qabool to dono ko aapas mein hi karna hai, hum to sirf zariya hote hai kareeb laane ka... Qabool to aakhir dono ko ek-dusare ko karna hai... Zindagi to dono ko ek saath basar karni hai...

#RaJWrites

No comments: