Wednesday, October 17, 2018

Radio... Ab kya misaal dun main... Kabhi-Kabhi mere Dil mein... Tujhe na Dekhu to....

"Ab kya misaal dun main tumhare shabab ki...
Insaan ban gai hai Kiran mahtaab ki..."

Radio meri tanhai mein apne nagmo ke saath chaar-chand laga raha tha...

(Do shabd usko likhunga... Fir poore din, poori raat, poore samay khud ko takleef deta rahunga... Soch-Soch kar fir dimaag paidal ho jaata hai... Aankhon se bematlab aansoo girne lagte hai... isse behtar hai kuch mat likho...)

"Kabhi-Kabhi mere dil mein khayal aata hai ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye...
Tu ab se pehle sitaron mein bas rahi thi kahi, tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye"

Meri dil-e-takleef ko Radio dheere-dheere aur bada raha tha apne nagmo se...

(Kitchen mein hi dikhati hai hamesha... Total family mein teen members hai, woh bhi aadhe samay gayab rehte hai, fir bhi pata nahi kitna banati hai Khana... Timepass karti hogi kitchen mein... Shayad...)

(Waise Suit hamesha aache pehanati hai... Choice aachi hoti hai hamesha suits ki... Mujhe sab suits pasand hai uske... Mehange wale hai Suits uske... Miya lekar deta hoga...)

Radio fir gunguna utha...
"Tujhe na dekhu to chain mujhe aata nahi hai...
Koi tere siva mujhko bhata nahi hai...
Kahi mujhe pyar hua to nahi hai..."

#RaJWrites

No comments: