"Yeh na hota to koi dusara gum hona tha...
Main to woh hun jise har haal mein bas rona tha...
Woh tere pyaar ka gum ek bahana tha sanam...
Apni qismat hi kuch aisi hai ki Dil toot gaya..."
Radio mere dil ki bhavanao ke saath beh raha tha...
(Ab kyon mujhe galliyan nikal rahe ho... Kyon mujhe bura-bhala bol rahe ho... sach mein yaar tum frustrated, negative insaan ho...)
(tumhari bewafai pe rone ke siva meri zindagi mein aur bhi gum hai...
Ab main har baat tumse share to kar nahi sakta... Waise bhi share karke tumko kaun sa fark padta hai...
Waise aap Baap ka Shraddha tha...)
(Itni bakwas karte rehte ho... Shraddha ka to bata hi sakte the...)
(Bola to... Tumko bata kar koi fayda hai... Tumhe jab mere dukh-talkeef se koi matlab nahi rehta to mere Baap ka Shraddha to tumhari liye kya maane rakhega... Rehne do apni nautanki...
Waise bhi jab paisa haath mein hoga tab karenge, keh diya tha Baap se...
Waise abhi to gold ki chain sale karke Rs. 25,000/- kharcha kiye hi hai... Aur jab hoga tab kharcha karenge...
Tum jao apne mobile, internet par Lago... Jao dafaa ho...)
Radio baj raha tha...
"Dukhi Mann mere sun mera kehna...
Jahan nahi chaina, wahan nahi Rehna...
Dukhi Mann mere..."
#RaJWrites
No comments:
Post a Comment