Tuesday, April 9, 2019

Ek Chup Hazaar Sukh....

Waise Mera manna hai Khul Ke Bolna chahiye... Chhuppi Todni Chahiye... AB BAS!

Par mere Case mein "Ek Chup, Hazaar Sukh..."


Mujhe ik-ik mukhbir, ik-ik shadyantrakari... ik-ik ka involvement sab pata tha... Par Maine kisi se ek Shabd nahi kaha... Balki sab se muskurakar, sneh se, haste hue milta raha... Chahta to main hungama khada kar sakta tha... Par ik Shabd nahi Bola...

Waise mujhe fark bhi nahi padta hai ki koi mere baare mein... Kya baatein kar raha hai... Kaun sa shadyantra rach raha hai... Kya gupshup kar raha hai... Kaun si kahani gad raha hai... Kaun sa gappa haak raha hai... Kaun sa jhooth fehla raha hai... koi fark nahi padta...

Wajah sirf itni hai agar aap apni Rooh se rubaru hote hai, imaan-pasand rehte hai, ibadat wale bande rehte hai...fir aapko in sab cheezon se fark hi nahi padta... Aapki ladai, badla Khuda ke Faristee lete hai... Woh aapki taraf se inteqaam lete hai.... Woh aapki taraf se jung ladte hai... Yahi Sach Hai...

#RaJ

4 comments:

Anonymous said...

Ab ye kaisa rishta nibha rhe ho..aur kio

ROMIL ARORA said...

HaQ wala rishta... HaQ hai...Farz nibha raha hun...

Anonymous said...

Mat nibhao..ye dard thumara nai hai...isliye thumara farz b nai hai...bs dard he dard hai yahan ..tumhe koi khushi hasil nai hogi iss farz me..

ROMIL ARORA said...

jab dard nhi tha seene mein tab khaak maza tha jeene mein...abki shayad hm bhi roye sawan ke mahine mein... hahaha

Waise sabko ladne pade apne-apne yudh, chahe raja Ram ho ya fir bhagwan Buddha...

agar aana chaho to Lakhnau aa sakti ho...bas itna kar sakta hun... baaki jaisa tumhara Dil chahe waisa Karo...ab samjhane wali Umar to tumhari rahi nahi... Apna bhala-bura khud soch sakti ho... Rab Rakha... Radha Soami Ji...