Monday, April 8, 2019

RaJ naam ke phool...

Sangemarmar se to Makbare sajaye jaate hai...
Mitti se Ghar banaye jaate hai...

संगेमरमर से तो मक़बरे सजाये जाते है...
मिट्टी से घर बनाये जाते है...

aur
और

Ameerzadiyan to Ehsaason ke saath khelati hai...
Gareeb Aashiqon ke na jaane kitne Armaan dabaye jaate hai...

अमीरज़ादियाँ तो एहसासों के साथ खेलती है...
ग़रीब आशिकों के ना जाने कितने अरमान दबाये जाते है...

aur
और

Jis Dil ko bana rakha hai usne Qabristaan...
Usi mein RaJ naam ke phool khil rahe hai...

जिस दिल को बना रखा है उसने क़ब्रिस्तान...
उसी में राज नाम के फूल खिल रहे है...

aur
और

Jo Mohabbat ko badal de woh Sach ho hi nahi sakta...
Yakeenan woh koi Jhoot hi hoga... Jisne Mohabbat badal di...

जो मुहब्बत को बदल दे वो सच हो ही नहीं सकता...
यक़ीनन वो कोई झूठ ही होगा... जिसने मुहब्बत बदल दी...

#Romil
#रोमिल

No comments: