Monday, August 19, 2019

sar-e-aam qatal hi kar diya hota mujhko...

jis wafa ke sheesh-mehal mein saja ke rakha tha usko
badi zor se thokar maar kar gaya tha woh usko...

badi hi salamati se rakha hai maine usko 
jis waafa ke sheesh-mehal ne ghayal kiya tha mujhko...
***
agar bewafai hi karni thi jo usko
sar-e-aam qatal ki kar diya hota mujhko...
***
kisko sunau apni wafa ka kissa
Rab bhi to samajhata hai kasoorvaar mujhko...

#RA

No comments: