Muddat ho gai hai neend se jaage hue...
Kisi shaam phoolon ke rangon se khele hue...
Chand ki roshani mein nahaye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
Saagar ki lehron mein bhagate hue...
Sahil pe rait se ghar banaye hue...
Yunhi gaana koi gungunaye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
Kisi mandir ki ghanti bajaye hue...
Gurudware ka halwa khaye hue...
Kisi mazaar par Sar ko jhukaye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
Usse mohabbat ki baatein kare hue...
Uske gum mein aansoo bahaye hue...
Sang-Sang kisi baat par muskuraye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
#Romil Arora
Kisi shaam phoolon ke rangon se khele hue...
Chand ki roshani mein nahaye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
Saagar ki lehron mein bhagate hue...
Sahil pe rait se ghar banaye hue...
Yunhi gaana koi gungunaye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
Kisi mandir ki ghanti bajaye hue...
Gurudware ka halwa khaye hue...
Kisi mazaar par Sar ko jhukaye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
Usse mohabbat ki baatein kare hue...
Uske gum mein aansoo bahaye hue...
Sang-Sang kisi baat par muskuraye hue...
Ek Muddat Si Ho Gai Hai...
#Romil Arora
No comments:
Post a Comment