Sunday, May 31, 2020

Kisan Pareshan

Barsaat adhik ho to Kisan Pareshan...
Baarish kam ho jaye to Kisan Pareshan...
Fhasal kam paidavaar ho to Kisan Pareshan...
Fhasal adhik ho to Laagat Mulya nahi milta, Kisan Pareshan...

Waqt pe kheti ke liye kabhi Bijli nahi milti... Kabhi Pani nahi milta...
Kisan Pareshan...

Motor ka kharcha... Diesel ka ghatata-badta hua Daam...
Kisan Pareshan...
Tractor ka kharcha... Majdoor ki laagat... Udhari pe bota aanaaj... Karz ka badta janjaal... Fhansi pe jhulata Kisan...
Kisan Pareshan...

Kabhi kudrati aafatein ujaad jaati hai fhasal...
Kabhi Tiddiyon ka bawaal..
Kabhi sarkaar bada deti hai Beej ke Daam...
Kabhi Mandi ke chakaron se...
To Kabhi Cold Storage ki lineoo se hota hairaan...
Kisan Pareshan...

Subah ki khet mein hazri...
Raat mein khet ki chaukidari...
Gharbhar laga rehta tamam... Subah-Shaam...
Kisan Pareshan...

Na Bima Rashi ka samay pe hota bhugtaan...
Khet pe Sarkaro... Dabango... Sahukaro ki nazarein karti rehti pareshan...
Kisan Pareshan...

Anaajdaata khud roti ke liye tarasta...
Jiska parivar udh na pata khawaishon ki Udaan...
Kabhi-2 aisa lagta hai Is Desh mein Kisan ka dusara naam hi hai Pareshan...

#Romil

No comments: