Monday, June 1, 2020

Ek Baccha aur Uski Maa

din bhar dhoop mein
hal chalakar
mehnat se aanaj paida karta hain kisan!
fhir bhi bhookha kyon sota hain kisan?
~
Bhookh se roota-tarapta hua Ek Baccha aur uski Maa
ghar-ghar do Roti ki bheekh magate hue
koi na unki fariyad sunne wala
dhikkar, apmaan ke siwa woh kuch nahi pate....

maine dekha aur bola
"sach main kalyug aa gaya"

woh boli
"kalyug kya, satyug kya
Ram kya, Raheem kya
sab suna-suni baatein hai
na maine jana kabhi, na dekha kabhi
main to bas itna janu
yeh duniya hai, lakhon log dhanwaan hai yahaan
usme mera baccha bhukha hai
roti ke liye tarafta hai
main ek majboor Maa kuch na kar pati hu"

#Romil

No comments: