Showing posts with label #SuNWrites. Show all posts
Showing posts with label #SuNWrites. Show all posts

Sunday, March 17, 2019

Balaa thi... Balaa...

khuda... khuda... khuda...
keh-kehke to peecha chhudaya hai...

Na jaane kitni Dua padni padi Mazaar pe... Tab jakar chutkara naseeb hua...

Balaa thi... Balaa... Balaa Aurat...

#Romil Arora

Tuesday, March 12, 2019

Pakade jaane pe sab yahi kehte hain...

Bhai Sahab yeh Mehfooz jagah nahi hai...
Pichali baar Anti Romeo Squad walon ne humko pakad liya tha...

Aap log Nikal lo yahan se...

(SuN - Arre Yaar Hum-Dono Miya-Biwi hai...)
hahaha

Pakade jaane pe sab yahi kehte hai...
hahaha

(SuN - Tumhein Sindoor-MangalSutra nahi dikh raha hai...)

Sindoor-MangalSutra to aajkal ka fashionable item hai...
hahaha

(SuN - Chalo yahan se Pizza Hut ya Coffee Shop chalte hai... Do Log kahi baithkar baat bhi nahi kar sakte...)

(Tum to bahut kharab ho SuN, Miya-Biwi bol diya... Agar mere Miya ne sun liya to mera Talaaq ho Jaana hai...)

#Romil Arora

Saturday, March 9, 2019

Mard banta to bada izzatdaar hai...

Mard banta to bada izzatdaar hai...
Magar asal mein hota bada begairat Insaan hai...
Sota to Dahej ke bistar par hi hai...
hahaha...

Aaj Kal ki ladkiyan bhi khoob hai...
Saajo-Samaan ke saath khush rehti hai...
Fir chahe Insaan ke saath khush rahe ya na rahe...

Betiya Rani hamari... AC mein soyegi...
hahaha...

Na Mazhab... Na Kanoon... Na Sabhyata... Na Sanskaar... Iski ijazat dete hai... 
Fir bhi sab len-den karte hai...
Dulhe pe chadava chadane pe lage hai... 
Takleef sabko hai, Magar fark kisi ko nahi padta hai...
Sab chalta hai....

hahaha...

#Romil

मर्द बनता तो बड़ा इज़्ज़तदार है...
मगर असल में होता बड़ा बेग़ैरत इंसान है...
सोता तो दहेज के बिस्तर पर ही है...
हाहाहा

आजकल की लड़कियां भी खूब है...
साजो-सामान के साथ खुश रहती है...
फिर चाहे इंसान के साथ खुश रहे या ना रहे...

बिटिया रानी हमारी... एसी में सोयेगी...
हाहाहा

ना मज़हब... ना कानून... ना सभ्यता...
ना संस्कार... इसकी इजाजत देते हैं...
फिर भी सब लेनदेन करते है...
दूल्हे पर चढ़ावा चढ़ाने पर लगे है...
तकलीफ़ सबको है, मगर फ़र्क किसी को नही पड़ता है...
सब चलता है...

हाहाहा

#रोमिल

Sunday, February 24, 2019

kya chahu...ki kya mil jaye...

khuda... kya chahu...ki kya mil jaye...
wahi Maa...wahi NaaZ mujhe mil jaye...
jisne bhi mujhe Dil Se Rulaya hai usko sazaa mil jaye...
kya chahu... ki kya mil jaye...

thoda sukun...thoda aaram...
thodi raaton ko meri neend mil jaye...

thodi si muskurahat...
thodi si khushi...
thodi si zindagi bhi haseen lagni lag jaye...
kya chahu... ki kya mil jaye...

jo mera hai, aakar mujhse khud-ba-khud mil jaye...
kya chahu... ki kya mil jaye...

#SuN
#SultaN
#RaJ

Wednesday, February 20, 2019

Kiski baat karte ho...

Kiski baat karte ho...
Uski... Uski...
Us Jalandhar wali ki...
Usko chhode hue to Miya... zamana ho gaya...
Dhokha khaya jo tha woh purana ho gaya...

Daman-e-Hasrat... Khawab-e-Tamanna...
Shehar-e-Kanpur se rishta to kabka khatam ho gaya...
Woh apna tha hi nahi jo paraya ho gaya...

aur

Utare hue chehre mein shikayat kiski hai...
Ruuthe hue chehre ki bhuji rangat kiski hai...
"Sanatkada" mein mila tha ek bichada hua chehra"
Sanatkada-Lucknow Craft Festival... Mein mila tha bichada hua haseen sa chehra ...
Bas... Apna Dard-E-Dil fir se hara ho gaya...
Uski "Audi" aur apni "Activa" doorie ka Safar aur jyada lamba ho gaya...

hahaha

#Romil Arora

Monday, February 18, 2019

2+2=4 hi samajhate hai 5 nahi...

janab... hum to bahut seedhe-saadhe log hai...
Finance, Accounts ke aadmi hai...
2+2=4 hi samajhate hai 5 nahi...

hamari ghar ke Bacche kya Tuffy (Kutta) bhi itna seedha-saadha tha...idhar-udhar bhatakta nahi tha...
do haddi hi sahi, par apne ghar ki hi khaata tha, dusare ke yahan ki nahi...

#Romil Arora

Qasoor...

Qasoor to na deewal pe rakhe hue Jalte Chirag ka hota hai...
Na usko bhujane wali be-reham tez hawa ke jhokhe ka hota hai... 

#Romil Arora

Sunday, February 17, 2019

Warna Khuda ne koi qasar nahi chhodi thi humein dubane mein...

kisi ki duaon ka hi asar hai jo hum baar-baar ubar aate hai gehre sadyantaro se...

warna Khuda ne koi qasar nahi chhodi thi humein dubane mein...
warna Zamane ke Khudaon ne koi qasar nahi chhodi hai humein dubane mein...

#Romil Arora

Sunday, February 10, 2019

kitabein ilm se aham to nahi...

Ammi kehti thi...

kitabein ilm se aham to nahi...

par zindagi ka sahara jaroor hai...
par zindagi ko sawarne ke liye jaroori hai...

bhalu... 

khula Girebaan...yeh Udhadi Silai... yeh zameen mein lathedati jeans... kya asar dalegi...
libaas qirdaar se aham to nahi...
par sakhsiyat ka agaaz hota hai...

#Romil Arora

Sunday, February 3, 2019

Tarbiyat....

Yeh to Meri Maa ki Tarbiyat aisi hai ki Main kisi se kuch bolta nahi, 
kisi ko kuch bhi kehta nahi...

Jab Maazi bolta hai...

Mare hue log bhi bolte hai...
Mare hue log bhi dikhte hai...

Jab Maazi bolta hai na...
Jab Zameer baar-baar Jagne ko kehta hai...
Jab Paap ka Ghada bhar jaata hai...
Jab Khuda apni Karni pe utar aata hai...
Tab Mare hue log bhi bolte hai...
Mare hue log bhi dikhte hai...

Yeh mat sochna ki Main Sab Bhool Gaya Hun...
Maine kisi ko Maaf Kar Diya Hai...

Arre maaf to maine apne Sage Baap ko nahi kiya tha... Tum logon ko kaise baksh sakta hun...

Bas Waqt ki Mutthi ek baar khulne do...

#SuNWrites

Saturday, February 2, 2019

Har roz kehti thi...

har roz kehti thi...

"main marr hi jau to sabke liye aacha hai..."
"main marr jau tabhi sabko sukun milega..."
"is zindagi se to aacha hai khuda mujhe maut hi de de..."

Khuda ne uski dua qabool kar li... 
Dua sun li...

"Use Maut Mil Gai...."

Magar saath-saath bahut saare sawaal apne peeche chhod gai... 
Jinka jawab sirf "Parmatama" ya fir "Antaratma" hi de sakti hai...

#Romil Arora

Monday, January 28, 2019

Yahi Mazaar thi...

Yahi Mazaar thi...

Aisa hi kaala dhaaga mannaton wala maine isi jagah bandha tha...

Tab maine yeh dua ki thi...
"Maula... kuch aisa karishma dikha yeh meri zindagi mein shaamil ho jaye... meri shareek-e-hayaat ban jaye..."

Aur aaj maine yeh dua ki hai...
"Hey Maalik... aisi kuch tarkeeb nikaal yeh meri zindagi se hamesha ke liye dafaa ho jaye..."

#SuNWrites

Sunday, January 27, 2019

apni qismat itni jhaatu hai...

apni qismat itni jhaatu hai...
koi shaadi se pehle chhod jaati hai...
koi dusare se shaadi ke baad bhi nahi chhodati hai...
to koi dunia hi chhod jaati hai...

allah reham kare...

hahaha

#SuNWrites
#RaJWrites
#SultanWrites

Sunday, January 20, 2019

Chhod to tum mujhe...

chhod to tum mujhe bahut pehle hi chuki thi...
aur kis tarah chhodogi...
par...
tumne mujhe sirf chhoda hi nahi...
KAHI KA BHI NAHI CHHODA...
KISI KE LIYE BHI NAHI CHHODA...

#SuNWrites
#RaJWrites

Wednesday, January 16, 2019

aap itne pareshan na ho...

aap itne pareshan na ho...
banda... sambhalte-sambhalte, sambhal jayega...
jism ka rishta hi to todha hai aapne, duaon ka to nahi...
banda...itne mein hi sukoon pa jayega...

door se hi sahi... rakhiye apni nazrein qaram...
meri udasiyon ka mausam bhi badal jayega...

khud hi saja liya karenge...mehfil-e-mohabbat...
kam se kam...dil-e-armaan hi nikal jayega...

aur

mere hone ya na hone se kya fark padta hai aapko...
aapki zindagi ka safar... badta hai... badta hi jayega...

Allah Reham kare...

#RaJWrites
#SuNWrites

Monday, January 14, 2019

Sochiyega jarur...

lakh bure shabd bolta tha...
ladta tha... jhagadta tha...
gande comments karta tha...
ungaliyan uthata tha... aaina dikhata tha...

jaisa bhi tha...
ab to main aapki duniya se chala gaya hun...

bina koi safai diye yeh puchana chahta hun...
kya ab aapki duniya paak-saaf... behtareen... khush mizaaj... mohabbat se bhari... sukun-chain wali ho gai hai...

agar nahi to sochiyega...
kya wajah main tha aapki dunia mein khalal ki... ya kuch aur...

sochiyega jarur...

#Romil

लाख बुरे शब्द बोलता था...
लड़ता था... झगड़ता था...
गंदे कमेंट्स करता था...
उंगलियाँ उठाता था... आईना दिखाता था...

जैसा भी था...
अब तो मैं आपकी दुनिया से चला गया हूँ...

बिना कोई सफाई दिए यह पूछना चाहता हूँ...
क्या अब आपकी दुनियां पाक-साफ़...
बेहतरीन... खुशमिज़ाज... मुहब्बत से भरी... सुकून-चैन वाली हो गई है...

अगर नहीं तो सोचियेगा...
क्या वज़ह मैं था आपकी दुनियां में ख़लल का... या कुछ और...

सोचियेगा जरूर...

#रोमिल

Log kaun hai log...

ammo kehti thi....

waqt pe mooh fher lenge log...
jab hogi jarurat dagaa denge log...
ajeeb firangi chaalein chalenge log...
bach ke rehna... dubti naav ka tamasha dekhenge log...

log kaun hai log...
humse...tumse milkar to bane hai log...

badalna hoga khudko... tabhi badlenge log...

#SuNWrites

Saturday, January 12, 2019

Neem ke patte kadve hi sahi...

Neem ke patte kadve hi sahi... magar khoon to saaf kar hi dete hai...

Mere shabd lakh bure sahi...
Unmein nafrat bhari sahi...
Magar padne wale ko ek baat ka ehsaas to kara hi dete hai ki Bande ne imaandari se likha hai...
Jo jaisa hai use waisa hi likha hai...
Shabdon ko nakli ghee se chupda nahi gaya hai... Matlab ki chashni mein bheegoya nahi gaya hai....

#Romil Arora

Thursday, January 10, 2019

ab tootane ko kuch bacha hi nahi hai...

ab tootane ko kuch bacha hi nahi hai...
sivaye mere hausale ke...

sab kuch to toot chuka hai...
dil...
aitbaar... bharosa...
mohabbat...
apna rishta...
parivar...
vyapaar...
jo kuch thoda bahut bhudape ke liye jod ke rakha tha woh paisa bhi...

hahaha

#SuNWrites