Showing posts with label bewafa.... Show all posts
Showing posts with label bewafa.... Show all posts

Tuesday, September 22, 2009

bewafa

yeh sochkar uski bewafai par yakeen nahi hota romil
itna khoobsurat chehara bewafa kaise hoga???

#Romil

यह सोचकर उसकी बेवफाई पर यकीन नहीं होता रोमिल
इतना खूबसूरत चेहरा बेवफा कैसे होगा??? 

#रोमिल

Monday, September 21, 2009

mera saath

gila nahi ki usne mera saath choda
doobati kasti ko to mallah bhi chod daite hain!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, March 27, 2009

bewafai...

jab koi puchata hai uske baare mein
main haans kar baat taal deta hu Romil
magar aankhen uski bewafai ki dastaan suna deti hai...

#Romil

जब कोई पूछता है उसके बारे में 
मैं हंसकर बात ताल देता हूं रोमिल 
मगर आंखें उसकी बेवफाई की दास्तान सुना देती है...

#रोमिल

Sunday, March 1, 2009

kaash...

kaash waqt par meri huqumat hoti romil
main woh waqt kabhi nahi lata ki woh bewafa ho jaye...
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, February 25, 2009

khata

Shayad meri khata thi ki woh bewafa ho gayi Romil
kasoor mera tha, fir usko ilzam kyon doon...

#Romil

शायद मेरी खता थी कि वो बेवफा हो गई रोमिल 
कसूर मेरा था, फिर उसको इल्जाम क्यों दूं...

#रोमिल

Tuesday, February 24, 2009

koiye to seekhe...


bewafao se wafa karna koiye to seekhe
andheroon main ujala karna koiye to seekhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, December 24, 2008

kahani kehti hai...


is dil ke lakh tukare kar lu magar tasveer tere hi banti hai,
main shayar nahi, fhir bhi kuch bhi likh du har shabd teri bewafai ki kahani kehti hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 2, 2008

Humsafar Usi Ka Raha...

"Jisne Bewafai Ki Mohabbat Usi Se Karta Raha,
Ki Jisne Saath Nahi Diya Humsafar Usi Ka Raha"
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 26, 2008

ek chota sa dil hamara....

ek chota sa dil hamara, jis par zakhm hazaar,
kis-kis ki dawa kare, jab har koi hai yahaan bewafa mere yaar!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 17, 2008

diye main bhuja dunga......

tera khayal dil se mita dunga,
bewafa main tujhko bhula dunga,
aansoo ab nahi karunga main apne jaaya,
har teri yaad ke diye main bhuja dunga!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 14, 2008

!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!




Kabhi zindagi ko tarase, kabhi maut ko pukara
!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!


Mehfil main roye, tanhai ka liya sahara
!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!


Na Mile Manzil, Na Mila Humko Kinara
!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 12, 2008

Ek bewafa tum hi nahi.....


Ek mohabbat main barbad hone wale hum hi nahi aur bhi hai,
Ek bewafa tum hi nahi zamane main aur bhi hai!


Hum par hi nahi sirf mohabbat ka sitam hua,
Is duniya main mohabbat main zakhame aur bhi hai!


Tanha safar tha zindagi ka, tanha hi rahega,
Is tanhaiyoon main khush rehane wale abhi aur bhi hai!


Hamari haal-e-dil dekh kar kaash, yeh husn par marne wale samaj jaye,
Magar, mohabbat-e-madhoshi main marne wale abhi aur bhi hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 4, 2008

sanaam tum bhi bewafa hogi.....



Kya pata tha sanaam tum bhi bewafa hogi,

Zamane ki tarah, mujhe tanha karogi,

Mere bebasi par hasogi,

Saath mera chod kar gair ki baahon main rahogi,

Mere aankhon main basane ke baad, aansoo main beh jayogi,

Kya pata tha sanaam tum bhi bewafa hogi!

[written by romil arora - copyright reserved]

muskurane wale kya jaane.....

dil todne wale mohabbat kya jaane,
duniya wale pyar ki rasme kya jaane,
dil ko sakun kitna milta hai yaar ki yaad mein rone se,
yeh bewafai mein muskurane wale kya jaane!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 3, 2008

Maine Bewafao Se Dil Lagana Seekh Liya!

Sanam Maine Gum Mein Muskurana Seekh Liya,
Har Aansoo Ko Khushi Banana Seekh Liya,
Tanhaiyon Mein Dil Ko Behlana Seekh Liya,
Is Darr Se Koi Yeh Na Samjhe Main Bewafa Ke Haaton Hua Hu Qatl,
Maine Bewafao Se Dil Lagana Seekh Liya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 28, 2008

Bewafa kabhi wafa nahi karte.....

Bewafa kabhi wafa nahi karte,
Mohabbat karne wale kisi ko daga nahi karte,
Husn walon ki to aadat hoti hai lootane ki,
Yeh kabhi kisi saache aashiq par reham nahi karte!
[written by romil arora - copyright reserved]

kaise keh do ki tu bewafa hai......

Har apna aaj kal mujhse khafa hai,

Sabki juban par bas mere khata ka silsila hai,

Jab tha nahi main tere kaabil,

Fhir kaise keh do ki tu bewafa hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Wafa kya hoti hai.........

Waafa kya hoti hai yeh us bewafa ko kya pata,
Waafa to aaj kal bas kitabo main naazar aati hai,
Is jahan main marr jaate hai kuch log wafaa main,
badle main unke hisse main sirf bewafai aati hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Us bewafa ko kya kharab......

Us bewafa ko kya kharab ki maine maut ko kyon gale lagaya,

Zindagi main bas har pal uske intezaar main beetaya,

Woh to sirf daulat main khoye rahe,

Bhul kar mujhko, gairon ki baahon main soye rahe!

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 23, 2008

"Bewafa Bhi Tumko Kaise Kahu"

"Bewafa Bhi Tumko Kaise Kahu"

Bewafa Bhi Tumko Kaise Kahu,
Jab Tumne Koi Waafa Ki Hi Nahi!

Apna Bhi Tumko Kaise Kahu,
Jab Tum Kabhi Meri Apni Thi Hi Nahi!

Teri Judai Ka Gum Main Kaise Manau,
Jab Tum Kabhi Mere Kareeb Thi Hi Nahi!

Apne Naseeb Par Rone Ka Mujhe Koi Haq Nahi,
Jab Tum Kabhi Mera Naseeb Thi Hi Nahi!

Bewafa Bhi Tumko Kaise Kahu,
Jab Tumne Koi Waafa Ki Hi Nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]