Showing posts with label dard.... Show all posts
Showing posts with label dard.... Show all posts

Monday, August 11, 2008

Kya-Kya Tumko Sunaye...

Jinki Yaadon Mein Humne Aansoo Bahaye,
Intezaar Mein Jinke Humne Palkein Bichaiye,
Pal Bhar Mein Woh Chal Diye Hamara Saath Chhod Kar,
Apne Dard Ki Kahani Hum Kya-Kya Tumko Sunaye...

#Romil

जिनकी यादों में हमने आंसू बहाये, 
इंतजार में जिनके हमने पलके बिछाए, 
पल भर में वो चल दिए हमारा साथ छोड़कर, 
अपने दर्द की कहानी हम क्या-क्या तुमको सुनाएं...

#रोमिल

Tuesday, August 5, 2008

Keh De Mere Sanam Se.....

~!~
Koi Jakar Keh De Mere Sanam Se
Woh Aise Hi Tadpate Rahe Hamare Dil Ko
Hum Aise Hi Apni Qalam Se Dard Likhte Rahenge...
~!~
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 14, 2008

Waqt jaise-jaise beetata hai.....

Waqt jaise-jaise beetata hai,
tumhari yaad badati jaati hai,

Itna maayush ho jaata hu main gum-e-dil se,
ki aankh maire aansoo se bhar jaati hai,

Dusare se waafa tere dekh kar,
mujhe tere ruswaiya yaad aati hai,

Jo sun laite the dil ki dhadkan kabhi,
Aaj tumhe maire dard-e-aawaz bhi nahi sunaiye deti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 7, 2008

hazaar milenge tumko.....

Mohabbat ko kharidane wale hazaar milenge tumko,
Pyar ki baatein karne wale hazaar milenge tumko,
Na milega to bas tumko hamara saath,
Saath chalne wale hazaar milenge tumko!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 5, 2008

taire milan se jyada aacha hai.....


Tujhe khone ka jo dard hai,
Woh tujhe paane ki khushi se jyada aacha hai,

Yeh jo halka-halka dard hai,
Woh dil ke khushi se jyada aacha hai,

Yeh jo aankhon main gamo ki barsaat hai,
Woh khushi ke saawan se jyada aachi hai,

Yeh jo taire yaadon ka toofan hai,
Woh taire milan se jyada aacha hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 21, 2008

fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....



fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....


Dard itna mila hai ki bataya nahi jaata,

aansoo ka koiye hisab lagaya nahi jaata.



Barsaat se kya gila apna,

jab kaachi mitti ka ghar tha apna,

Paani main beh jaye to fhir banaya nahi jaata.



Durr tak bas andhera hi andhera hai,

Roshani ka koiye deepak ab jalaya nahi jaata.



Har umeedh tooth chuki hai apni,

ab umeedon ka shehar banaya nahi jaata.



Kisse kahe apna haal-e-dil,

ab kisi se dil lagaya nahi jaata.



Har koiye to ab maira dushman hai,

dost kisi ko apna banaya nahi jaata.



sach kahu fhir se yeh dil lagaya nahi jaata...

[written by romil arora - copyright reserved]

Ishq mein dard hai itne mile ki dil ro padta hai...

dil ro padta hai...

Ishq mein dard hai itne mile ki dil ro padta hai,
Zamane ne diye itne sitam ki soch kar, dil ro padata hai,
Muskurate rahe sab, dekhkar hamara tadapna,
Aaj bhi jab yaad aata hai unka muskurata chehara, dil ro padta hai.
Unki rahoon mein hamesha rahe marr-mit jaane ko hum,
Dekh kar unka nazre humse churana, dil ro padata hai.
Kabhi hote the hum hi unki aaina-e-nazar,
Phoolon se jab koi aaina toodta hai, dil ro padta hai.
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, June 10, 2008

Main Hoon......


Main Hoon......

“Tere daman main phool hai,
tujhe kaantoon ka ehsaas nahi,
mere daman main kaante hai,
mujhe phoolo ka ehsaas nahi,
tujhe haashne se hi fursat nahi milte
aur ek main hoon jisse muskurahat ka bhi ehsaas nahi”


“Shoharat kabhi naseeb nahi hui mujhe,
maira jalalat ne kabhi peecha na choda,
main ek gum hu us saahil ka,
jisse samundar ne bhi pyaasa choda”
[written by romil arora - copyright reserved]

Dil se alfaaz.....


Dil se alfaaz.....

“Dard ko tum aapne muskurahat bana lo,

Har zakhm ko tum apni pehchan bana lo,

Phir dekho na jhuk jaye yeh aasman,

tum aapni udaan ko aur ucha bana lo”


“Apno ka gum sabhi ko hota hai,

kabhi gairo se bhi mohabbat karke dekho,

zakhm tumhara hum bhar denge kabhi humse bhi izhar karke dekho”



“Main wo naav hu jiska koi saahil nahi,

Main wo panshi hu, jiska koi ghosala nahi,

Mujhe kya koi pyaar karege,

Main wo diya hu, jis diye main tail nahi”


"Naam main kya rakha hai naam to ek din kho jayega,

Majnu koi bhi ho uska naam laila ke baad hi aayega"


"Har khata par wo hamari mushkurate hai,

zalim zamane main aaise bhi dost hote hai"

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, June 3, 2008

"Koiye Dard Main Hamara Na Ho Sake"


"Koiye Dard Main Hamara Na Ho Sake"


Jis Shaks Ke Beghair Guzara Na Ho Sake,

Rabb Ka Berukhi To Dekho Woh Hamara Na Ho Sake.

Ek Chand Sa Masoom Chehra Bhulaya Na Ja Sake,

Aankhon Main Jiske Waste Sapne Sajaye Ho,

Woh Hamara Na Ho Sake.

Aur Kya Baatein Karu Main Usse,

Jab Koiye Dard Main Hamara Na Ho Sake....

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 30, 2008

Ghazal Kya, Maine To Zindagi Tere Naam Kar Di"

"Ghazal Kya, Maine To Zindagi Tere Naam Kar Di"

Ghazal kya, maine to zindagi tere naam kar di, 

Shaam kya, maine to har subah, har raat, tere naam kar di, 

Izhar-e-mohabbat ke intezar mein tum hamesha rahe, Shayad meri nazaron ne mujhse bewafai kar di, 

Ab to leta hu sar-e-aam tera naam, bewafai mein, 

kyonki dushmani mein tune apni saari hadein paar kar di, 

Ab to tujhse juda rehne ki dua mein roz mangata hoon, 

kyonki dosti mein tune, meri har khushi tamam kar di, 

Sochata hoon, darta hoon aksar is ehsaas se aaye meri “hitler”,

ameeron ki mehfilon ne kyon garibon ke liye raat kar di, 

Ab na barbaad ho, koi aashiq mohabbat mein, 

isliye maine husn ki tareef karna band kar di, 

Ghazal kya, maine to zindagi tere naam kar di!!!

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 23, 2008

"Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki Yeh Dekha Nahi Jaata Hai"

"Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki Yeh Dekha Nahi Jaata Hai"

Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki
Yeh Dekha Nahi Jaata Hai,
Roote - Roote Yuhi Din Kath Jaata Hai,
Yaad Karte-Karte Yuhi Raat Beeth Jaati Hai,
Khudhe Se Shikayat Hai,
Khudhe Se Nafrath Hai,
Khud ko Jalil Kiye Bina Raha Nahi Jaata Hai,
Kaise Usko Bana Lu Apna
Kuch Samaj Nahi Aata Hai,
Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki
Yeh Dekha Nahi Jaata Hai,
Rabb Ne Hamesha Mujhko Sataya Hai,
Apno Ne Hamesha Mujhko Rulaya Hai,
Deh Diya Jab Maire Saaya Ne Mujhe Dokha,
Ab Kisi Aur Se Shikwa Kiya Nahi Jaata Hai.
Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki Yeh Dekha Nahi Jaata Hai........
[written by romil arora - copyright reserved]

Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka

"Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka"
Tum Humse Kehti Ho Itna Tadapte Kyon Ho?
Hamare Liye Itna Machalte Kyon Ho?
Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka,
Tadapne Ka,
Tanhai Ka...
Maut Ko Bhi Log Laga Lete Hai Gale,
Yeh Hota Hai Junoon Aashiqui ka...
Raat Bhar Aankhon Mein Neend Nahi Aati,
Khuli Aankhon Se Sapne Ko Dekhne Ki Sachai Ka...
Mehfilon Mein Roshan Hoti Hai Shama,
Kisi Ko Nahi Andaza Uski Tanhai Ka....
Tumko Kya Pata Hai Kya Dard Hota Hai Judai Ka,
Tadapne Ka,
Tanhai Ka...
[written by romil arora - copyright reserved]